kisi dhab rah par ab qalb-e-diwana nahin aata ki ashk aankhon mein hain aur lab pe afsana nahin aata nahin sikha mere gham ne khushi mein mahw ho jaana mere nalon ko naghmon mein sama jaana nahin aata har ek zarre ko sajda kar ke bhi mahrum-e-manzil hun hazaron kabe aae ek but-khana nahin aata mohabbat zindagi ki jaan gham jaan-e-mohabbat hai samajhta hun magar duniya ko samjhana nahin aata mohabbat aag hai main aag mein jalta hun aur khush hun mujhe gham kha raha hai mujh ko gham khana nahin aata jigar ke dagh kaise dagh hain be-nur-o-be-raunaq ye shamen kya hain jin par koi parwana nahin aata junun mein ahl-e-dil ka ye bhi ek andaza hai 'fitrat' ki thokar khana aata hai sanbhal jaana nahin aata