khilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo hum ne badha diye hain bade bade baniyan-e-jaur-o-sitam ke badhiye bitha diye hain khayali ghunche khila diye hain khayali gulshan saja diye hain nae madari ne do hi din mein tamashe kya kya dikha diye hain koi to hai be-khud-e-tayyush koi hai mahw-e-husul-e-sarwat khilaune hathon mein rahbaron ke ye kis ne la kar thama diye hain watan mein sham-o-sahar jo hoti hai parwarish shaikh o barhaman ki yatim-khana mein in yatimon ke nam kis ne likha diye hain ye shaikh hain aur ye barhaman hain ye waiz o sadr-e-anjuman hain zamana pahchanta hai sab ko har ek pe lebal laga diye hain jafa-shiaron mein shayad aa jae is tarah kuchh asar wafa ka manga ke murghiyon ke ande baton ke niche bitha diye hain