khel tamashe mein aise manzar bhi hote hain girti hai dastar to us mein sar bhi hote hain shahr ujaden khel racha ke kath-putli ke sath lashkar ke salar tamasha-gar bhi hote hain diwaron ke basi kya jaanen ghar ka matlab ghar kahlata hai jab baam-o-dar bhi hote hain palat ke bhi aa jati hain aksar ye dhyan rahe baaton mein alfaz nahin patthar bhi hote hain baz auqat to ishq bhi pahla kaam nahin rahta baz auqat masail kuchh digar bhi hote hain aaj kured ke dekhunga yaadon ki thandi rakh chand dahakte lamhe to andar bhi hote hain bikhri bikhri sochon mein kuchh gard udate pal la-mutanahi se gham ka mehwar bhi hote hain jal utthe ye khas-khana to aankhon se chhalken dil mein aise barfile paikar bhi hote hain