KHayal aur fikr ko bulandi nazar ko baalidgi milegi

khayal aur fikr ko bulandi nazar ko baalidgi milegi
qadam tu duniya-e-ishq mein rakh tujhe nai zindagi milegi

junun ko apne khirad bana kar jo zindagi ko sanwar lega
yahan usi sahib-e-junun ko khirad ki paighambari milegi

ye chaar din ki masarraton ka fareb bhi kitna der-pa hai
umid hai lamha lamha dil ko halawat-e-zindagi milegi

kise guman tha ki daur aisa bhi hum pe guzrega zindagi mein
na ishrat-e-khwajgi milegi na lazzat-e-bandagi milegi

rahe hain muddat se ham-safar hum hai phir bhi beganagi ka aalam
kise khabar thi ki har tamanna ba-surat-e-ajnabi milegi

jadid tahzib ki rawish par jawan rahe gamzan tu ek din
hawas ke halqe mein nim-uryan bahimiyat nachti milegi

badalte haalat ki numaish hamein ye paigham de rahi hai
inhi andheron se bazm-e-giti ko ek din raushni milegi

ye duniya 'naghmi' hai aati jati nahin hai ye umr-e-jawedani
sajegi jab bhi tumhaari mahfil hamari us mein kami milegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close