kis se kya mangun jahan mein koi kya dega mujhe jo bhi dega kam ziyaada wo khuda dega mujhe qatl karke jo tamannaon ka meri shad hai us se kya ummid rakhun khun-baha dega mujhe wo masiha jis ke daman par lahu ke dagh hain zahr-e-qatil surat-e-ab-e-baqa dega mujhe lamha-e-tark-e-talluq ye kabhi socha na tha zindagi bhar tanha rahne ki saza dega mujhe dekhta hai aasman tapta hua parbat ki ab sabz khilat pani barsa kar khuda dega mujhe jhurriyon aur silwaton par barhami meri abas jo mera chehra hai wo hi aaina dega mujhe kaam aankhon se zaban ka lena hai 'naghmi' wahan wo qalam karke zaban harf-o-nawa dega mujhe