khayal-e-azm-e-safar ikhtiyar karta hai mere liye bhi koi intizar karta hai wo aasman ke sitaron mein chand jaisa hai wahan se ghar ke andheron pe war karta hai jise bhulana hi maqsad meri hayat ka tha mera wajud use ab bhi pyar karta hai tere baghair meri khwahishen adhuri hain tera hi zikr mujhe be-qarar karta hai main jaanta hun wo wade ko bhul jata hai ye sach hamesha mujhe ashk-bar karta hai udas ganw ki galiyon ka ek budha faqir 'shakil' mujh pe sawalon ke war karta hai