meri aawaz ke jadu ka asar hota hai jaise tariki mein jugnu ka safar hota hai meri chahat ke safine se juda hai sahil jis ne paya hai zamane se wahi khota hai hum sitaron ke nagar se kahin aage honge chand aangan mein mere sath abhi sota hai us ke hathon pe rakhi takhti mein likkha kya hai kyon wo bachchon ki tarah ab bhi bahut rota hai