khelunga phir kabhi koi daw visal par filhaal munhasir hun main apne malal par surat nahin uruj ki sab kuchh tilism hai duniya ki ninw rakkhi gai hai zawal par dekha hai jab se us ne natija udan ka khud hi kutar diye hain parinde ne baal-par thokar pe rakh na de tere sikkon ko baadshah darwesh aa raha hai ab apne kamal par ek tak na dekhiye ki ise tutna bhi hai rah-rah ke dala kije nigahen sifal par wahshat ki kashtiyon pe hain 'jaani' sawar aur aamada ho rahi hain ye lahren uchhaal par