khayal-e-husn zaruri hai zindagi ke liye charagh le lo andhere mein raushni ke liye chhupae se bhi kahin ishq-o-mushk chhupte hain sawal ban gai be-pardagi kisi ke liye mujhe jo faiz uthana hai main utha lunga gharaz nigah-e-karam hai wo ab kisi ke liye wo dil nazar se gira den to gham ki baat nahin ye jam waza hua hai shikastagi ke liye bahakne lagti hai duniya sharabiyon ki tarah nazar uthana bhi dushwar hai kisi ke liye zamana jab kabhi aamada-e-fareb hua kisi ne parda uthaya hai aagahi ke liye surur-e-chashm-e-nigaran na puchhiye 'mani' tabiat aaj bhi mauzun hai shairi ke liye