yahan jo hai kahan us ka nishan baqi rahega magar jo kuchh nahin wo sab yahan baqi rahega safar hoga safar ki manzilen madum hongi makan baqi na hoga la-makan baqi rahega kabhi qarya-ba-qarya aur kabhi aalam-ba-alam ghubar-e-hijrat-e-be-khanaman baqi rahega hamare sath jab tak dard ki dhadkan rahegi tere pahlu mein hone ka guman baqi rahega bahut be-e'tibari se guzar kar dil mile hain bahut din tak takalluf darmiyan baqi rahega rahega aasman jab tak zamin baqi rahegi zamin qaim hai jab tak aasman baqi rahega ye duniya hashr tak aabaad rakkhi ja sakegi yahan hum sa jo koi khush-bayan baqi rahega junun ko aisi umr-e-jawedan bakhshi gai hai qayamat tak giroh-e-ashiqan baqi rahega tamaddun ko bacha lene ki mohlat ab kahan hai sar-e-girdab kab tak baadban baqi rahega hamara hausla qaim hai jab tak saeban hai khuda jaane kahan tak saeban baqi rahega tujhe malum hai ya kuchh hamein apni khabar hai so hum mar jaenge tu hi yahan baqi rahega