kisi train ke niche wo kat gaya hota ghubar-e-rah-e-tilismat chhat gaya hota chalo ye achchha ki chandan badan se dur rahe main sanp ban ke kamar se lipat gaya hota kisi ke hijr mein itni ghutan se behtar tha hawa mein surat-e-ghubara phat gaya hota hua ki dher si ashiya se bhar gaya daman ai kash zarra-e-neki bhi at gaya hota zaban aati to uslub koi gadh leta use patana nahin tha wo pat gaya hota