labon pe mohr-e-KHamoshi zaban pe tala hai

labon pe mohr-e-khamoshi zaban pe tala hai
zarur phir koi tufan aane wala hai

agar ye tham na leti to gir pada hota
tumhaari yaad ne mujh ko bada sanbhaala hai

kisi ke chehre pe bikhri hain ja-ba-ja zulfen
kahin pada hai andhera kahin ujala hai

abhi to aage bahut imtihan baqi hai
abhi to sirf parindon ne par nikala hai

mere liye to yahi intizam kafi hai
ki mai-kadon mein mere nam ka piyala hai

usi ki zat se hai sari kaenat mein rang
usi ke husn ka duniya mein bol-baala hai

agar zamir ki qindil ho gai raushan
to phir samajhiye andhere mein bhi ujala hai

rahen charagh bhala kis tarah 'zaki' mahfuz
hawaen dhund rahi hain kahan ujala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close