khayal hai ki haqiqat hai ya fasana hai wo nisti ho ki hasti tilism-khana hai nazar ka farq man-o-tu ka farq hai shayad wahi sarab wahi ganj-e-ab-o-dana hai jo thahr jae to hai tausan-e-khayal koi jo rau mein ho to ye surat-gar-e-zamana hai fasad-e-hirs nahin qasr-e-shahr tak mahdud ki is lapet mein aalam ka karkhana hai mujhe to yun bhi kharab-e-shabab hona tha tere jamal ka jadu to ek bahana hai dilon ka rabt nahin be-takallufi hai ye kabhi kabhi ki mulaqat dostana hai