mushkil hai ki pahlu se juda dil nahin hota aur mere satane se wo ghafil nahin hota parde mein agar us ke mera dil nahin hota aaina rukh-e-yar ke qabil nahin hota jab qasd musammam hai to har kar hai aasan jo kaam ki mushkil hai wo mushkil nahin hota gar parda-nashini tujhe manzur thi dilbar dil mera tere waste mahmil nahin hota mai-khana ko jata hun ye takrar abas hai naseh to kisi taur se qail nahin hota saffak kaha main unhen hans ke wo bole har sahab-e-shamshir to qatil nahin hota didar-talab ka talib hai use jalwa dikha de aashiq tu zar-o-mal ka sail nahin hota wo nur-e-mubin jo ki tajalli-e-laqa hai us ka ba-juz aadam koi hamil nahin hota mera to pata khak bhi rahta na 'jamila' gar fazl-e-ilahi mere shamil nahin hota