siyahi girti rahe aur diya kharab na ho ye taq-e-chashm ab itna bhi kya kharab na ho har aane wala isi tarah se tujhe chahe meri banai hui ye faza kharab na ho azal abad mein thani hai so main nikalta hun meri kadi se tera silsila kharab na ho hum us hawa se to kahte hain kyun bujhaya charagh kahin charagh ki apni hawa kharab na ho main apni shart pe aaya tha is kharabe mein so mere sath koi dusra kharab na ho meri kharabi ko yakja karo kahin na kahin mera muamla ab ja-ba-ja kharab na ho kharab hun bhale is ishtiha mein hum aur tum par ek dusre ka zaiqa kharab na ho