kyon ho na hamein ishq-e-sanam aur ziyaada deta hai maza ishq ka gham aur ziyaada dil to ewaz-e-bosa diya tum ne jigar bhi li muft mein ye ek raqam aur ziyaada likhta hun tujhe teri rukawat ka jo shikwa chalta hai mera ruk ke qalam aur ziyaada deta hun teri shokh nigahon se hi tashbih ram karte hain aahu-e-haram aur ziyaada paspa na hua qais se maidan-e-wafa mein badhta hi raha apna qadam aur ziyaada ho jate hain jab hum se kashida tere abru khinchti hai teri tegh-e-do-dam aur ziyaada hota hun 'diler' un se jo main lutf ka khwahan wo karte hain rah rah ke sitam aur ziyaada