malum hai wo mujh se khafa hai bhi nahin bhi mere liye honton pe dua hai bhi nahin bhi muddat hui is rah se guzre hue us ko aankhon mein wo naqsh-e-kaf-e-pa hai bhi nahin bhi munh khol ke bola nahin jata ki shifa de us pas mere dil ki dawa hai bhi nahin bhi kahte the kabhi hum ki khuda hai to kahan hai ab soch rahe hain ki khuda hai bhi nahin bhi rakkhe bhi nazar bazm mein dekhe bhi nahin wo auron se ye andaz juda hai bhi nahin bhi go zist hai mitti hui sanson ka tasalsul qiston mein ye jine ki saza hai bhi nahin bhi ya dil mein kabhi ya kabhi sadkon pe milenge hum khana-kharabon ka pata hai bhi nahin bhi hum se jo bana sab ke liye hum ne kiya hai malum hai neki ka sila hai bhi nahin bhi wo mom bhi hai mere liye sang bhi 'azar' kahte hain ki is dil mein wafa hai bhi nahin bhi