yun ganwata hai koi jaan-e-aziz zindagi hoti to hum rakhte aziz kya bataen ab bikhar jaane ke baad aashiyan tha ya hamein tinke aziz dhundhta hai aaj kunj-e-afiyat dil kabhi jis ko the hangame aziz husn tha us shahr ka aawargi aur hamein the panw ke chhaale aziz ye na qissa hai na andaz-e-bayan ye mera ahwal hai yar-e-aziz ghar mein ji lagta nahin aur shahr ke raste lagte nahin apne aziz is tarah kya ai ghubar-e-dil koi raqs karta hai sar-e-ku-e-aziz sae hain jitne gurezan dhup se dhup ko hain utne hi sae aziz ya talluq kuchh na tha ya aap ko gham hamare ho gae itne aziz samne aate nahin aur khwab mein munh chhupa lete hain duzdan-e-aziz aankh hai ya sair-gah-e-roz-o-shab waqt hai ya jada-e-umr-e-aziz kya ajab jo dard-o-gham rukhsat hue wo bhi the aakhir 'rasa' apne aziz