kitaben meri sari jal rahi thin khwab kaisa tha sawa neze pe suraj tha to phir mahtab kaisa tha sawad-e-shab rida-e-tirgi ki wusaten odhe bhatakta phir raha tha kirmak-e-shab-tab kaisa tha shanawar main bhi tha bhuke nahangon ke samundar mein mere atraf lekin khun ka girdab kaisa tha main apni zindagi ko lamha lamha khoj bhi leta magar wo qatra qatra pyas ka zahrab kaisa tha wo nas nas mein sama kar bhi gurezan mujh se kyunkar tha wo mera ho gaya tha aur phir nayab kaisa tha 'matin-iqbaal’ itni baat tum ne bhi nahin samjhi mohabbat ka wo dariya is qadar payab kaisa tha