khayal-o-khwab hua barg-o-bar ka mausam bichhad gaya teri surat bahaar ka mausam kai ruton se mere nim-wa darichon mein thahar gaya hai tere intizar ka mausam wo narm lahje mein kuchh to kahe ki laut aae samaaton ki zamin par phuwar ka mausam payam aaya hai phir ek sarw-qamat ka mere wajud ko khinche hai dar ka mausam wo aag hai ki meri por por jalti hai mere badan ko mila hai chinar ka mausam rafaqaton ke nae khwab khushnuma hain magar guzar chuka hai tere eatibar ka mausam hawa chali to nai barishen bhi sath aain zamin ke chehre pe aaya nikhaar ka mausam wo mera nam liye jae aur main us ka nam lahu mein gunj raha hai pukar ka mausam qadam rakhe meri khushbu ki ghar ko laut aae koi batae mujhe ku-e-yar ka mausam wo roz aa ke mujhe apna pyar pahnae mera ghurur hai bele ke haar ka mausam tere tariq-e-mohabbat pe barha socha ye jabr tha ki tere ikhtiyar ka mausam