sar-e-baam-e-hijr diya bujha to khabar hui sar-e-sham koi juda hua to khabar hui mera khush-khiram bala ka tez-khiram tha meri zindagi se chala gaya to khabar hui mere sare harf tamam harf azab the mere kam-sukhan ne sukhan kiya to khabar hui koi baat ban ke bigad gai to pata chala mere bewafa ne karam kiya to khabar hui mere ham-safar ke safar ki samt hi aur thi kahin rasta koi gum hua to khabar hui mere qissa-go ne kahan kahan se badhai baat mujhe dastan ka sira mila to khabar hui na lahu ka mausam-e-rang-rez na dil na main koi khwab tha ki bikhar gaya to khabar hui