khayal-o-khwab ki ab rahguzar mein rahta hai ajib shakhs hai aksar safar mein rahta hai kisi ka dekhna mud kar wo chashm-e-tar se mujhe hamesha ab wahi manzar nazar mein rahta hai tamam raste mud kar yahin pahunchte hain wo is khayal se ab apne ghar mein rahta hai masarraton ke kinare to dub jate hain safina dil ka ghamon ke bhanwar mein rahta hai kahan hai kaise bataen yahi samajh lije 'shakil' ab to kisi chashm-e-tar mein rahta hai