kisi nazar mein samaun wo walwala bhi de nikhaar bakhsha hai tu ne to aaina bhi de tamam lafz hi khamosh maslahat ke shikar zaban di hai to kahne ka hausla bhi de guman-o-waham ke mabain thak ke baith gaya kahan talash karun kuchh ata-pata bhi de nafas nafas ki aziyyat se baat kya banti mere aziz mujhe zakhm-e-jaan-faza bhi de charagh aise andheron mein sath den kab tak safar hi shart agar hai to rasta bhi de mera khulus tere makr-o-fan se haar gaya kahan azab-e-mukarrar mujhe hata bhi de