khurshid ki nigah se shabnam ko aas kya taswir-e-rozgar se dil hai udas kya shohrat ki gard khwab ke tufan ghamon ki dhul in ke siwa hai aur zamane ke pas kya tuta na zor-e-gham na zamane ka sar jhuka niklegi wasl-e-yar se dil ki bhadas kya hum ko kitab-e-zist ka har bab hifz hai ek bab-e-gham ka sirf padhen iqtibas kya nikle hain zahr karb mein bujh kar tamam lafz gholen subu-e-sher mein gham ki mithas kya jin ki nazar mein hech hai taj-e-hunar 'naim' un ke huzur main kya meri iltimas kya