khayal tha ki guman ko yaqin bana dunga aur ab ye khwab likhunga bhi to mita dunga mujhe bhi sath hi le lo magar nahin yaro main sust-rau hun tumhaari thakan badha dunga hawa-e-shab mere shoale se intiqam na le ki main bujha to ufuq tak dhowen uda dunga bade shabab se aaega sail-e-rang ab ke phir is mein main bhi to ek ju-e-khun mila dunga chalo khamosh hua main ab is sukut ke baad na shab ko tul na ham-sae ko sada dunga