koi rafiq baham hi na ho to kya kije kabhi kabhi tera gham hi na ho to kya kije hamari rah juda hai ki aisi rahon par riwaj-e-naqsh-e-qadam hi na ho to kya kije hamein bhi baada-gusari se aar thi lekin sharab zarf se kam hi na ho to kya kije tabah hone ka arman sahi mohabbat mein kisi ko khu-e-sitam hi na ho to kya kije hamare sher mein roti ka zikr bhi hoga kisi kisi ke shikam hi na ho to kya kije