khazana kaun sa us par hoga wahan bhi ret ka ambar hoga ye sare shahr mein dahshat si kyun hai yaqinan kal koi tyauhaar hoga badal jaegi us bachche ki duniya jab us ke samne akhbar hoga use nakaamiyan khud dhund lengi yahan jo sahab-e-kirdar hoga samajh jate hain dariya ke musafir jahan main hun wahan manjdhaar hoga zamane ko badalne ka irada kaha to tha tujhe bekar hoga