teri nazar ke samne ye dil nahin raha aaina aaine ke muqabil nahin raha achchha hua ki waqt se pahle bichhad gaya barbaadiyon mein tu meri shamil nahin raha mujh ko samajh raha tha jo mazi ki ek kitab wo bhi nae nisab mein shamil nahin raha laut aain phir se kashtiyan tufan se haar kar viran bahut dinon mera sahil nahin raha munsif ki ungliyon ke nishan khanjaron pe hain ab koi apne shahr mein qatil nahin raha har ek qadam pe rakkha hai dil ka bahut khayal us ki taraf se mein kabhi ghafil nahin raha raqsan hai chaara-gar ke ishaaron pe aaj-kal ab dil bhi e'tibar ke qabil nahin raha