kis hiddat se guzre kaise phul hue kya mausam tha jab angare phul hue chhachh bilone wali muddat baad hansi diwaron par chaspan uple phul hue resha bunti makdi khushbu mein dubi ek aahat par sare jale phul hue us dar ke phulon ka aalam kya hoga jis ko chhu kar mere jaise phul hue ghar ne dekh liya aate pardesi ko khil utthe darwaze tale phul hue chauk mein ek taswir lagai phulon ki dekha dekhi chaaron raste phul hue hum hain jin par mani badle jate hain hum hain jin par kankar tere phul hue itni mohlat khilne aur mahakne ki gham ne di aur hum bhi us ke phul hue kante us zarkhez nazar ke shaidai jo bhi is mein aan samae phul hue jab tak harf rahenge tum bhi mahkoge tum mere ashaar mein aae phul hue