khel sab aankhon ka hai sara hunar aankhon ka hai phir bhi duniya mein khasara sar-ba-sar aankhon ka hai hum na dekhenge to ye manzar badal jaenge kya dekhna thahra to kya naf-o-zarar aankhon ka hai sochna kya hai abhi kar-e-nazar ka ma-hasal hum to yun khush hain ki aaghaz-e-safar aankhon ka hai rafta rafta sare chehre darmiyan se hat gae ek rishta aaj bhi baqi magar aankhon ka hai rasta kya kya charaghon ki tarah takte the log silsila aankhon mein ta-hadd-e-nazar aankhon ka hai thak chuke donon tamasha-gah-e-alam dekh kar aao so jaen ki in aankhon mein ghar aankhon ka hai