kasrat mein bhi wahdat ka tamasha nazar aaya jis rang mein dekha tujhe yakta nazar aaya jab us rukh-e-pur-nur ka jalwa nazar aaya kaba nazar aaya na kalisa nazar aaya ye husn ye shokhi ye karishma ye adaen duniya nazar aai mujhe to kya nazar aaya ek sarkhushi-e-ishq hai ek be-khudi-e-shauq aankhon ko khuda jaane meri kya nazar aaya jab dekh na sakte the to dariya bhi tha qatra jab aankh khuli qatra bhi dariya nazar aaya qurban teri shan-e-inayat ke dil o jaan is kam-nigahi par mujhe kya kya nazar aaya har rang tere rang mein duba hua nikla har naqsh tera naqsh-e-kaf-e-pa nazar aaya aankhon ne dikha di jo tere gham ki haqiqat aalam mujhe sara tah-o-baala nazar aaya har jalwe ko dekha tere jalwon se munawwar har bazm mein tu anjuman-ara nazar aaya