koi din sabr ke phir mundamil ho jaega gham nishan rah jaega aur mustaqil ho jaega gham kisi lambe safar mein sham ho jaegi gham ko kahin ek rah takte muzmahil ho jaega gham kise malum tha kaam aaegi sina-kharashi aur is sine mein aakhir-kar dil ho jaega gham ufuq par dubte dukh se sitare kah rahe hain chamak utthenge hum jab muntaqil ho jaega gham kisi fursat ki shab dil par udasi chhaegi aur kisi masruf din par mushtamil ho jaega gham tumhein hasrat se hum dekhenge aur tum muskurana us ek lamhe mein jab aa kar mukhil ho jaega gham chalegi yaad jab tanhai mein rauzan khulega maza aa jaega jab munfail ho jaega gham kahan khalwat mayassar aaegi kam-fursaton ko juda hogi khushi to muttasil ho jaega gham khushi ek dhundne niklega gham lekin achanak baham ho kar kisi gham se khajil ho jaega gham