nigah aaina hai aks-e-mustaar hun main hayat qarz hai mujh par to zer-e-bar hun main pighal na jae ana shiddat-e-tamazat se giran hai tab-e-kharidar kam-ayar hun main sawad-e-shab mein ek aawaz par hun garm-e-safar asir-e-zulf na aawara-e-bahaar hun main hinai hathon se chehra chhupa raha hai wo shikast-e-ahd pe bhi tahniyat-guzar hun main jo pau phate to nawed-e-sahar mile 'ishrat' hazar raaton se sar-ta-pa intizar hun main