kuchh aise mahfil mein apni jaanib sabhi ka wo dhyan khinchta hai bina ijazat ke jaise jismon se ek malak jaan khinchta hai wo aur honge hain jin ki aankhon mein khwab aazad aasman ke hum apni zanjir khud banate hain hum ko zindan khinchta hai wajud apna khayal hai to adam hai apni khayali manzil dalil hone ki jab nahin hai to kaisa imkan khinchta hai hamari marzi ki rah hai ye hamein khabar hai ki is safar mein kisi ko dar-o-rasan pe shikwa kisi ko irfan khinchta hai hasin manzar hamesha hadd-e-nazar se bahar rahe hain mere main raegani ko ji raha hun mujhe bayaban khinchta hai ik-adh kafir bhi mujh ko 'jaani' mile hain sehn-e-haram mein aa kar ik-adh aise mile jinhen but-kade mein iman khinchta hai