khidkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo sochta hun jis mein wo rahta hai ghar kaisa hai wo kaisi wo aab-o-hawa hai jis mein wo leta hai sans aata jata hai wo jis par rahguzar kaisa hai wo kaun si rangat ke hain us ke zamin-o-asman chhanw hai jis ki yahan tak bhi shajar kaisa hai wo ek nazar mein hi nazar aa jaega wo sar-ba-sar phir bhi us ko dekhna bar-e-digar kaisa hai wo main to us ke ek ek lamhe ka rakhta hun shumar aur mere haal-e-dil se be-khabar kaisa hai wo us ka hona hi bahut hai wo kahin hai to sahi kya sarokar is se hai mujh ko 'zafar' kaisa hai wo