khidkiyan suni dar-o-diwar chup sari galiyan aur bhare bazar chup kis qayamat ki khabar aane ko hai ganw ke chaupal chup akhbar chup darmiyan hai khauf ka dariya rawan main yahan khamosh wo us par chup ek sada us ko bulane ke liye ek sada aae mujhe har bar chup kaisa qaht-e-adamiyat hai yahan zindagani ke sabhi aasar chup kis qayamat ka hai ye tanha safar raste chup rah ke ashjar chup main ne to insaf manga tha magar aaj hai 'ausaf' har darbar chup