khidkiyon se jhank kar galiyon mein dar dekha kiye ghar mein baithe raat din diwar-o-dar dekha kiye aisa manzar tha ki aankhen dekh kar pathra gain phir na dekha kuchh magar nezon pe sar dekha kiye raat-bhar socha kiye aur subh-dam akhbar mein apne hathon apne marne ki khabar dekha kiye ek tara na-gahan chamka gira aur bujh gaya phir na aai nind tare raat-bhar dekha kiye wo to khwabon mein bhi khushbu ki tarah aata raha phul ki manind us ko hum magar dekha kiye kaun tha wo kab mila tha kya pata 'alwi' magar der tak hum us ko aankhen mund kar dekha kiye