us mah-jabin se aaj mulaqat ho gai bedard aasman ye kya baat ho gai aawargan-e-ishq ka maskan na puchhiye pad rahte hain wahin pe jahan raat ho gai zikr-e-shab-e-visal ho kya qissa mukhtasar jis baat se wo darte the wo baat ho gai masjid ko hum chale gae masti mein bhul kar hum se khata ye pir-e-kharabaat ho gai pichhle ghamon ka zikr hi kya jab wo mil gae ai aasman talafi-e-mafat ho gai zahid ko zindagi hi mein kausar chakha diya rindon se aaj ye bhi karamat ho gai bechain rakhne wale pareshan hon khud na kyun aakhir ko teri zulf meri raat ho gai jhula jhulaen chal ke hasinon ko bagh mein gujraat mein suna hai ki barsat ho gai kya faeda ab 'akhtar' agar parsa bane jab sari umr nazr-e-kharabaat ho gai