kiya jo e'tibar un par mariz-e-sham-e-hijran ne thandai mein dhatura de diya isa-e-dauran ne phiraya dar-ba-dar un ko jahanbani ke arman ne nachaya khub ye bandar junun-e-fitna-saman ne fujur-o-fisq ki tarikiyon mein jab koi bhatka dikhai dur se hi us ko light us ke iman ne sakun milta hai un ko aur na hum ko chain raaton ko pareshan kar rakha hai aap ke haal-e-pareshan ne na hai ye kaam wahshat ka na harkat dast-e-wahshat ki gala ghonta hai diwane ka khud us ke gareban ne phira kar dar-ba-dar chunwae tinke raat din un se banaya bewaquf achchha junun-e-fitna-saman ne dayar-e-dost mein ushshaq bechaare jahan baithe pakad kar kan uthaya khak-rub-e-ku-e-jaanan ne gulon mein rang-o-bu hai aur na ghunchon mein tabassum hai bahaaren gulsitan ki bech lin ahl-e-gulistan ne janab-e-naseh-e-mushfiq nasihat jab lage karne dikhai chonch hans hans kar unhen chaak-e-gareban ne