wo but be-sabab kyon khafa ho gaya khudawand-e-alam ye kya ho gaya wahi dil asir-e-bala ho gaya jise ishq-e-zulf-e-duta ho gaya na didar ki tab lae kalim wo jis waqt jalwa-numa ho gaya wahan us ne pahna jo dhani libas yahan zakhm dil ka hara ho gaya banaya hai tum ne jo surme ka khal to rukh aur bhi khushnuma ho gaya naha dho ke us ne kiya jab singhaar to putla wo ek nur ka ho gaya tasalli sitam ki talafi hui har ek kar-e-beja baja ho gaya hayat-e-abad us ko hasil hui teri rah mein jo fana ho gaya ye but hum se ho jaenge ram khud agar mehrban wo khuda ho gaya main kis munh se 'sabir' karun shukr-e-yar mujhe bosa-e-lab ata ho gaya