khilaya partaw-e-rukhsar ne kya gul samundar mein hubab aa kar bane har samt se bulbul samundar mein hamare aah-o-nala se zamana hai tah-o-baala kabhi hai shor sahra mein kabhi hai ghul samundar mein kisi din mujh ko le dubega hijr-e-yar ka sadma charagh-e-hasti-e-mauhum hoga gul samundar mein na chhedo mujh ko main ghawwas hun dariya-e-mani ka na dhundo mujh ko mustaghraq hun main bilkul samundar mein tumhein dariya-e-khubi kah diya gharq-e-nadamat hun kahan ye naz-o-ghamza aariz-o-kakul samundar mein pada tha aks-e-ru-e-naznin arsa hua us ko par ab tak tairta phirta hai shakl-e-gul samundar mein uthi mauj-e-saba jumban se shakh-e-ashiyan paiham chali jati hai goya kashti-e-bulbul samundar mein wo pain bagh mein phirte hain main fikron mein duba hun tamasha hai ki gul gulshan mein hai bulbul samundar mein abhi to sair ko jaana lab-e-dariya wo sikhe hain abhi to dekhiye khilte hain kya kya gul samundar mein khayal-e-yar kyun-kar aa gaya tufan-e-girya mein khuda malum kis shai ka banaya pul samundar mein kabhi girya ka tufan hai kabhi hairat ka sannata kabhi bilkul hun sahra mein kabhi bilkul samundar mein wo zalim aashiq-azari ki 'parwin' mashq karta hai dikha kar bulbulon ko dalta hai gul samundar mein