saaton ki nahin baat lamhon ki hai jism se ruh parwaz kar jaegi tum hamari khabar ko to kya aaoge ab tumhi ko hamari khabar jaegi jis qayamat se waiz daraata hai tu us qayamat se kam ye qayamat nahin bar-ha dil pe guzri hai jo hijr mein bar-ha jaan par jo guzar jaegi mere chaaragaro mere tan-parwaro, jao tum kas liye nind khoti karo hijr ki raat la-intiha raat hai ye qayamat nahin jo guzar jaegi mere jine na jine mein kya farq hai mera jina na jina barabar hai ab mujh ko marne hi do mujh ko marne hi do mere marne se duniya na mar jaegi meri duniya meri zindagi tak hi hai aur ek din meri maut ke sath hi khatma meri duniya ka ho jaega meri duniya mere sath mar jaegi darne walon ko duniya daraati rahi darne walon ko duniya daraati rahe tum daroge na duniya se lekin agar haar kar tum se duniya hi dar jaegi al-aman al-aman al-hazar al-hazar al-aman al-hazar teri nichi nazar tir ban kar jigar mein utar jaegi dard ki tis rag rag mein bhar jaegi laengi rang laengi aahen meri raegan hi na jaengi aahen meri meri qismat to sanwre na sanwre magar zulf to us pari ki sanwar jaegi zindagi ko na hai aarzu ko 'wafa' hasrat-agin hai donon ka shahr-e-wafa zindagi aarzu mein guzar jaegi aarzu dil mein ghut ghut ke mar jaegi