meri bandagi tujhe de sakegi bajae maani o lafz kya hai mere shuur ki jholiyon mein siwae maani-o-lafz kya jo nazar ka bojh na sah sakin wo zaban ka bojh sahengi kya subuk-o-latif ishaaraton pe jafa-e-maani-o-lafz kya mujhe dar hai ai sukhan-afrin ye libas un par giran na ho jo haqiqaten na pahan sakin wo qaba-e-maani-o-lafz kya na wo shams mein na qamar mein hai wo hijab-e-fikr-o-nazar mein hai jo hijab-e-fikr-o-nazar utha to ghiza-e-maani-o-lafz kya meri ruh agarche hai gurisna mera shauq agarche hai jaan-ba-lab magar ai 'jamil'-e-ghazal-sara ye rida-e-maani-o-lafz kya