koi mausam bhi hum ko ras nahin wo nahin hai to kuchh bhi pas nahin ek muddat se dil ke pas hai wo ek muddat se dil udas nahin jab se dekha hai sham aankhon mein tab se qaem mere hawas nahin mere lahje mein us ki khushbu hai us ki baaton mein meri bas nahin jitna shaffaf hai tera aanchal itna ujla mera libas nahin samne mere ek dariya hai hont sukhe hain phir bhi pyas nahin jis ko chaha hai jaan-o-dil se 'hasan' jaane wo kyun nazar-shanas nahin