khuda ki den se saman-e-zist kya na mila magar yahi ki mujhe zist ka maza na mila nawa-e-dil ko koi parda sazgar nahin chaman mein nala-e-bulbul se to gila na mila sukun nam hai naql-e-bala ke waqfe ka nashat-e-zist ka is ke siwa pata na mila ye haal ta dam-e-akhir niyaz-e-shauq raha bahut mila jo mujhe nala-e-rasa na mila murad dil ki na bar aai is ko kya kahiye jahan mein dil hi mujhe hasb-e-muddaa na mila kisi bahane to jaana hai ku-e-dil-bar mein talash-e-dil se gharaz kya mila mila na mila hua yahi ki hum ehsan khud utha na sake nahin ki qulzum-e-hasti mein nakhuda na mila khulus-e-ishq se milta raha gham-e-paiham hanuz meri wafa ka koi sila na mila wo ek aur yahan aashna-e-dard hazar bhala hua jo dil-e-dard-ashna na mila khula to hai abhi 'shakir' dar-e-khazana-e-ghaib mile kise ki yahan qismat-azma na mila