khinchta hai kaun aakhir daere dar daere daere hi daere hain daeron par daere paniyon ki kokh se bhi phutta hai daera der tak phir ghumte rahte hain aksar daere is kitab-e-zist ke bhi aakhiri safhe talak khinch dale qaus ne bhi zindagi par daere jaane kya kya ghumta hai gard ki aaghosh mein jhankte hain aasmanon se sarasar daere daeron ke beach mein hai ek aur daera niw kalas ek markaza hai markaze par daere aankh mein bhi daera hai daere mein daera zindagani dekhti hai kya barabar daere