kuchh aisa utra main us sang-dil ke shishe mein ki chand sans bhi aae na apne hisse mein wo ek aise samundar ke rup mein aaya ki umr kat gai jis ko ubur karne mein mujhe khud apni talab ka nahin hai andaza ye kaenat bhi thodi hai mere kase mein mili to hai meri tanhaiyon ko aazadi judi hui hain kuchh aankhen magar dariche mein ghanim bhi koi mujh ko nazar nahin aata ghira hua bhi hun chaaron taraf se khatre mein mera shuur bhi shayad wo tifl-e-kam-sin hai bichhad gaya hai jo gumrahiyon ke mele mein hunar hai shairi shatranj shauq hai mera ye jaidad 'muzaffar' mili hai wirse mein