khot ki mala jhut jataen apne apne dhyan apna apna mandir mimbar apne rab bhagwan ghar jaane ki koi duji rah nikali jae aan ke rah mein baith gaya hai ek jogi anjaan zakhmi suraj zahr mein bhigi lo pyase panchhi tuti bikhri hijr-gali mein kuchh shakhen be-jaan apne dukh ka ghunt gala aur yar ke aansu odh un aankhon ke dard se badh kar kya hoga nuqsan siski ko bahla lena hichki ko sahlana umr ganwa kar milta hai ye fan mere nadan khamoshi ki kathinai mein chup ki bipta mein us aawaz ka shahd ghule to mil jae nirwan jaana dekh aana kuchh rang abhi bahta hoga shahr ke chaurahe mein kal ek khwab hua qurban unche niche daen baen mitti ke tile aashaon ke sard badan bhitar ka qabristan aayat aayat nur ka paikar harf harf mahkar do 'simab' sifat honton par thi sura rahman