tadapne ki ijazat jazba-e-bismil se milti hai jo dil mushtaq ho to phir zara mushkil se milti hai wo haq sach ki ibarat padhne se mahrum rahte hain ki jin ko raushni ki lau rukh-e-baatil se milti hai mujhe zinda jalae tujh ko bhi zinda hi dafnae mere qatil ki fitrat bhi tere qatil se milti hai chakori dekh le tu bhul jae chand ko takna dil-e-muztar ko jo taskin kale til se milti hai ye donon judwan bhai hain nahin is mein shubh kyunki mere mansab ki surat bhi mere qatil se milti hai kisi attar se milna to 'panchhi' hai bahut mushkil jo dil-awez khushbu husn ki mahfil se milti hai