kis ko malum ki wo log kahan rahte hain teri dhun mein jo shab-o-roz rawan rahte hain jo fasane sabaq-amoz jahan rahte hain ta-dam-e-marg wahi wird-e-zaban rahte hain talkhi-e-gham hi sahi talkhi-e-ayyam sahi gamzan hum ba-rah-e-zinda-dilan rahte hain be-zabani pe na ja apni ki majzub sahi khud-faramosh haqiqat-nigaran rahte hain teri mahfil mein charaghon ki zarurat kya hai gham ke shoale to sar-e-sham jawan rahte hain mausam-e-gul mein bhi hum ahl-e-junun zindan mein be-niyaz-e-khabar-e-sud-o-ziyan rahte hain